Friday, April 11, 2008

What I don't want to be remembered as...

Tayyab Javed ka hamari tareekh mein jana pehchaana naam hai. In ka naam to bacha bacha jaanta hai. Woh Lahore mein paida huay aur unho nay apni ibtidaee taleem Lahore main hee haasil kee. Tayyab shuru say hee baaki bachon say faraq thay, woh khail kood mein zyada dilchaspi nahee laitay thay, balkay yehi waqt kitaabein parhnay mein lagatay thay (What a blatant lie!).

Teesri jama'at kay baad Tayyab apni family kay saath Saudi Arabia hijrat kar gaye. Unhon nay teesri jamaat say chhati jamaat tak wahan taleem haasil kee. (American school part omitted because of patriotic reasons). Uss kay baad unhon nay aik saal Islamabad mein guzara, jis kay baad woh Karachi chalay gaye. Karachi mein hee unhon nay apna mash'hoor khitaab "TJ" paaya. Yahan par unhon nay apni ta'leem mukammal kee (O Levels and A Levels part omitted because of anti-colonialistic reasons).

Magar Tayyab kay parhai kay shoq nay un ko yahan ruknay nahee diya, aur woh mazeed ta'leem kay liay Lahore chalay aye (as if a bachelors degree is really rare). Yahan par unhon nay Lahore University of Management Sciences, jis ko pyaar say LUMS bhi kehtay hein, kay prestigious Computer Science program mein dakhila haasil kiya.

(Since I didn't get any awards as such, we need to say the following) Tayyab yahan par bhi baaki bachon say zyada mehenti aur danish'mand thay. Woh parhai aur baaki cheezon mein sab say agay hotay thay, aur unhon nay bohat jaga apni university ka naam roshan kiya. Sab asaatiza ko Tayyab par bohat fakhar tha.

Apnay aakhri saal mein Tayyab nay LUMS kee mash'hoor society LES kee sadaarat haasil kee. Unhon nay iss society ko apna bohat saara qeemti waqt diya, aur society kee shaan mein chaar chaand lagaye. Unhon nay apnay ham-khayaal logon kay saath mil kar Pakistan mein pehli baar Young Leaders and Entrepreneurs Summit karaaya, jis mein pooray Pakistan say taalib-e-ilm aaye.

(... to be continued)

7 comments:

alihamza said...

pehli baar kisi ko apnay hee chuktay dekha hai
or woh bhi itnay zyada

Tayyab said...

dude, it's satire :)

nikk said...

ahem, you're supposed to say
"'aap' ka naame bacha bacha janta hai.. 'aap' neh apni ibtidaee taleem.." etc etc. so on and so forth !

like they write about quaid-e-azam in urdu books :D

Tayyab said...

oh yes how could i forget :P chalo in the next episode!

Unknown said...

good lord!!! wt were u thinkin to write dis??!! heeheheh ...nice...

Shireen said...

this is quite hilarious!!!

Unknown said...

Oye! didn't you give up on drugs after graduating?